What is web hosting in Hindi ? Web Hosting kaise kam karta hai ?




jis tarah aapko koi bhi product ko rakhane ke liye koi shope ya dukan ki jarurat padti hai  thik waise hi aapki bussines website ko online show hone ke liye web hosting service ki jarurat padti hai ? or web hosting ki wajah se aapki website any time online rehti hai 





What is web hosting in Hindi ? Web Hosting kaise kam karta hai ?


ek dam short me kahe to " web hosting aapki website files ko storage space yaani ki rehne ki jagah or access matlab ki sab logo tak pahuchane ka method provide karti hai.



Web Hosting Kaise Kam karti hai ?


web hosting service aapki website ki files ko web servers ( super computers) par store kar deti hai, jsb koi bhi aapki website par jaata hai to web servers users ki request ke hisab se aapki website ki files ki Ek copy uske mobile ya computer tak send kar deti hai. bas are method se aapki website sabhi visitors ko show hoti hai. or sab aasani se aapki website ko use kar sakte hai.



Web Hosting Kitane Types Ki Hoti Hai ?


Internet ki duniya me web hosting alag alag types ki service provide karti hai jiske baare me hamne niche kuchh jankari share ki hai.



Types of Web Hostings.



  1. Shared Server Hosting
  2. Virtual Private Server (VPS) Hosting
  3. Dedicated Server Hosting
  4. Cloud  Hosting
  5. WordPress Hosting


Aapko kis type ki web hosting buy Karni chahiye yeh aapki website ki requirements par depend Karta hai, kyuki har website ki requirements alag alag hoti hai jisko Dhyan me rakhate huye hi aapko best hosting ko buy karna hota hai.

chalo Hosting ke kuchh diffrent types ke baare me detail me jankari lete hai. jo aapko best hosting buy karne me help karegi.



#1. Shared Server Hosting

yeh Hosting service ek hostel ki jaisa hai, jaise hostel me ek sath bahut sare log apani apani jagah par set ho kar rehte hai, thik wise hi Shared Server Hosting me hai, Shared Server hosting me ek sath bahut saari websites ki store kiya jaata hai, or sab ke bich me ek physical server hota hai jo sab websites ko manage karta hai. shared server hosting all website ko web space or CPU,RAM jaise Resources ko ek sath use karne ki service available karwata hai.



agar aap ek limited Budget me start-up karna chahate hai or aapko lagata hai ki aapki website par jyada traffic nahi aane wala hai to aap shared server hosting buy kar sakte hai.



#2. Virtual Private Server Hosting

Is type ki hosting ek Flat me rehne ke jaisa hai. jaha par aap bhale hi apana main gate sab ke sath share karte hai lekin Virtual Private Server Hosting me aapko ek khud ka gate bhi milta hai jisase aapko apani khud ki privacy bhi milti hai.


VPS Hosting virtualization Technique ka use karti hai, jiske andar ek physical server ko virtually diffrent servers me Divided kiya jaata hai. yaha par ek hi web server par hote huye bhi dusari websites aapke hisse ke web space or Resources ka use nahi kar Sakti hai. is tarah se Virtual Private Server Hosting aapko privacy or securety jaise fayade provide karti hai.

Agar aap low price me bhi dedicated server ki Characteristics ka fayada uthana chahate hai to Virtual Private Server Hosting aapke liye best web hosting service hai.



#3. Dedicated Server Hosting

yeh Hosting ek Bungalows me rehne jaisa hai, jaha par aapke pas full control to hai par aap sab service ka charge bhi khud hi pay karte hai.

Dedicated server Hosting aapko apane server par full control provide karti hai, jaha par aapko Management ke liye Root Access provide kiya jaata hai.

ek or khas baat, yeh hosting me aapke server or managment ka use dusaro ke liye Restricted hota hai, Dedicated Server Hosting ka use sirf aap khud hi kar sakte hai. isliye Dedicated Server Hosting aapke privacy or securety ke hisab se sabse best hai.

Dedicated Server Hosting apane high performance, securet or control jaise fayade ke karan E-Commerce,Confidential and sensitive facts wali or big database or high traffic wali websites ke liye Dedicated Server Hosting best hai.


aap apane  business ki requirements ko dekhe or final kare ki aapke liye yeh hosting best hai ya nahi, agar aapki website bahut hi useful hai or daily ka bahut jyada traffic aata hai to aapke liye Dedicated Server Hosting best hai,



#4. Cloud  Hosting

Cloud  Hosting is time me sabse best hosting service hai. is type ki hosting me down time sabse kam hota hai. or kabhi kabhi to bilkul nahi hota hai. yaha par web hosting providers aapko servers ka ek Cluster provide karta hai or aapki files or Resources ko copy un servers par bana deti hai jaha se aap kam time me apani website ko load karwa sakte hai.


Agar koi Cloud server kisi karan se aapko responce dena bandh kar deti hai to aapki websites ka pura traffic dusare cloud server par automatic send ho jaata hai. iske bahut saare fayade hai, agar kabhi achanak aapka server fail ho jaata hai fir bhi aapke visitors ko koi problem nahi padega.yeh affordable hota hai kyuki aap sirf wo Resources ka pay karte hai jiska aap use karte hai. yeh VPS se jyada Scalable hota hai.


#5. WordPress Hosting

WordPress Hosting ek shared hosting ka hi ek part hai, jisko main to WordPress websites ke liye hi banaya gaya hai, isme aapka server sirf WordPress ke liye hi configure kiya jaata hai, or sites ke sath pehle se hi jaruri plugins install kar diye jaate hai jisme hamari website safe rahe. caching me help ho, WordPress Hosting ke sath me WordPress toolkit,SEO toolkit jaise usefull tools provide kiya jaata hai.

yeh WordPress ke liye sabse best hosting hone ke karan aapki website ko Unique speed provide karta hai or aap apani site ki securety bhi improve kar sakte hai.



Web Hosting Kaha se Buy Kare ?


IT industry me Web hosting providers ki competition bahut hi badh gayi hai iske bich me hamko Best Hosting Company ko select karna thoda hard hai lekin agar aap kuchh steps ka dhyan rakhe to best hosting company ko select karna bahut hi aasan ban jayega, or aapki hosting slect karni ki method easy ho jayegi.



Web Hosting buy karne se pehle kuchh baato ka dhyan jarur rakhe.

Web Hosting package ki price free value added service ke jaisa provide kiya jaata hai, providers ka support Medium kitana Dedicated hai, company ki Analysis kaisi hai etc..

Final words.


so friends yaha par maine bataya ki What is web hosting in hindi ? Web Hosting kaise kam karta hai ? web hosting kitane types ki hoti hai ?,web hosting kaha se buy kare ?, agar aapko is article se related koi question ya suggestion hai to hame jarur bataye.